shor barpa hai KHana-e-dil mein
koi diwar si giri hai abhi
Nasir Kazmi
KHafa dekha hai us ko KHwab mein dil saKHt muztar hai
khila de dekhiye kya kya gul-e-tabir-e-KHwab apna
Nazeer Akbarabadi
dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti
KHairaat mein itni baDi daulat nahin milti
Nida Fazli
dil jo de kar kisi kafir ko pareshan ho jae
aafiyat us ki hai is mein ki musalman ho jae
Nooh Narvi
dil ke do hisse jo kar Dale the husn-o-ishq ne
ek sahra ban gaya aur ek gulshan ho gaya
Nooh Narvi
dil unhen denge magar hum denge in sharton ke sath
aazma kar jaanch kar sun kar samajh kar dekh ka
Nooh Narvi
mujh ko ye fikr ki dil muft gaya hathon se
un ko ye naz ki hum ne use chhina kaisa
Nooh Narvi