KHak mein dil ko milate ho ghazab karte ho
andhe aaine mein kya dekhoge surat apni
Lala Madhav Ram Jauhar
KHamoshi dil ko hai furqat mein din raat
ghaDi rahti hai ye aaThon pahar band
Lala Madhav Ram Jauhar
ki tark-e-mohabbat to liya dard-e-jigar mol
parhez se dil aur bhi bimar paDa hai
Lala Madhav Ram Jauhar
mai-kada jal raha hai tere baghair
dil mein chhaale hain aabgine ke
Lala Madhav Ram Jauhar
na wo surat dikhate hain na milte hain gale aa kar
na aankhen shad hotin hain na dil masrur hota hai
Lala Madhav Ram Jauhar
puri hoti hain tasawwur mein umiden kya kya
dil mein sab kuchh hai magar pesh-e-nazar kuchh bhi nahin
Lala Madhav Ram Jauhar
samjha liya fareb se mujh ko to aap ne
dil se to puchh lijiye kyun be-qarar hai
Lala Madhav Ram Jauhar