dil ki lahron ka tul-o-arz na puchh
kabhu dariya kabhu safina hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
dil us ki tar-e-zulf ke bal mein ulajh gaya
suljhega kis tarah se ye bistar hai ghaza
Shaikh Zahuruddin Hatim
itna main intizar kiya us ki rah mein
jo rafta rafta dil mera bimar ho gaya
Shaikh Zahuruddin Hatim
jo ji mein aawe to Tuk jhank apne dil ki taraf
ki us taraf ko idhar se bhi rah nikle hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
kapDe safed dho ke jo pahne to kya hua
dhona wahi jo dil ki siyahi ko dhoiye
Shaikh Zahuruddin Hatim
main jitna DhunDhta hun us ko utna hi nahin pata
kidhar hai kis taraf hai aur kahan hai dil KHuda jaane
Shaikh Zahuruddin Hatim
na kuchh sitam se tere aah aah karta hun
main apne dil ki madad gah gah karta hun
Shaikh Zahuruddin Hatim