dil-e-viran ko dekhte kya ho
ye wahi aarzu ki basti hai
Saifuddin Saif
dil hi ayyar hai be-wajh dhaDak uThta hai
warna afsurda hawaon mein bulawa kaisa
Saqi Faruqi
dil jo TuTa hai to phir yaad nahin hai koi
is KHarabe mein ab aabaad nahin hai koi
Sarfraz Khalid
ye jab hai ki ek KHwab se rishta hai hamara
din Dhalte hi dil Dubne lagta hai hamara
Shahryar
dil sa wahshi kabhi qabu mein na aaya yaro
haar kar baiTh gae jal bichhane wale
Shahzad Ahmad
de ke dil hath tere apne hath
hath par hath dhare baiThe hain
Shaikh Zahuruddin Hatim
dil dekhte hi us ko giraftar ho gaya
ruswa-e-shahr-o-kucha-o-bazar ho gaya
Shaikh Zahuruddin Hatim