اردو हिंदी
Nai duniya mujassam dilkashi malum hoti hai | Shaahi Shayari
nai duniya mujassam dilkashi malum hoti hai

Ghazal

Nai duniya mujassam dilkashi malum hoti hai

Nushur Wahidi

;

nai duniya mujassam dilkashi malum hoti hai
magar is husn mein dil ki kami malum hoti hai

hijabon mein nasim-e-zindagi malum hoti hai
kisi daman ki halki tharthari malum hoti hai

meri raaton ki KHunki hai tere gesu-e-pur-KHam mein
ye baDhti chhanw bhi kitni ghani malum hoti hai

wo achchha tha jo beDa mauj ke rahm o karam par tha
KHizar aae to kashti Dubti malum hoti hai

ye dil ki tishnagi hai ya nazar ki pyas hai saqi
har ek botal jo KHali hai bhari malum hoti hai

dam-e-aKHir mudawa-e-dil-e-bimar kya mani
mujhe chhoDo ki mujh ko nind si malum hoti hai

diya KHamosh hai lekin kisi ka dil to jalta hai
chale aao jahan tak raushni malum hoti hai

nasim-e-zindagi ke soz se murjhai jati hai
ye hasti phul ki ek pankhuDi malum hoti hai

jidhar dekha 'nushur' ek aalam-e-digar nazar aaya
musibat mein ye duniya ajnabi malum hoti hai