ai junun phir mere sar par wahi shamat aai
phir phansa zulfon mein dil phir wahi aafat aai
Aasi Ghazipuri
imar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai
wo dard dil mein de ki masiha kahen jise
Aasi Ghazipuri
dard-e-dil kitna pasand aaya use
main ne jab ki aah us ne wah ki
Aasi Ghazipuri
dil diya jis ne kisi ko wo hua sahib-e-dil
hath aa jati hai kho dene se daulat dil ki
Aasi Ghazipuri
mujh se to dil bhi mohabbat mein nahin KHarch hua
tum to kahte the ki is kaam mein ghar lagta hai
Abbas Tabish
dost ahbab se lene na sahaare jaana
dil jo ghabrae samundar ke kinare jaana
Abdul Ahad Saaz
dil abhi puri tarah TuTa nahin
doston ki mehrbani chahiye
my heartbreak's not complete, it pends
I need some favours from my friends
Abdul Hamid Adam