aql kahti hai dobara aazmana jahl hai
dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye
Mahirul Qadri
wo mere sath hai sae ki tarah
dil ki zid hai ki nazar bhi aae
Mahmood Ayaz
dil bhi toDa to saliqe se na toDa tum ne
bewafai ke bhi aadab hua karte hain
Mahtab Alam
ishq ke shoale ko bhaDkao ki kuchh raat kaTe
dil ke angare ko dahkao ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
chehre pe sare shahr ke gard-e-malal hai
jo dil ka haal hai wahi dilli ka haal hai
Malikzada Manzoor Ahmad
mujh se dilli ki nahin dil ki kahani suniye
shahr to ye bhi kai bar luTa hai mujh mein
Mansoor Usmani
dard ho dil mein to dawa kije
aur jo dil hi na ho to kya kije
Manzar Lakhnavi