اردو हिंदी
Har nafas mein dil ki betabi baDhate jaiye | Shaahi Shayari
har nafas mein dil ki betabi baDhate jaiye

Ghazal

Har nafas mein dil ki betabi baDhate jaiye

Mahirul Qadri

;

har nafas mein dil ki betabi baDhate jaiye
dur rah kar bhi mere nazdik aate jaiye

ek zara tham tham ke ye parde uThate jaiye
dekhne walon ki nazren aazmate jaiye

mere is zulmat-kade ko jagmagate jaiye
ho sake to meri KHatir muskuraate jaiye

phir isi andaz se nazren milate jaiye
dekhne walon ki nazren aazmate jaiye

ya koi taskin ki surat batate jaiye
ya phir apni yaad se ghafil banate jaiye

rafta rafta KHud ko diwana banate jaiye
husn ki dilchaspiyon ke kaam aate jaiye

aql kahti hai dobara aazmana jahl hai
dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye

kufr o iman ke siwa bhi kuchh manazir aur hain
un ke har andaz par iman late jaiye

aa hi jaega koi qismat ka mara qais bhi
har taraf umm-e-ruKH-e-laila bichhate jaiye

main ne kuchh fitrat hi pai hai ajab mushkil-pasand
meri har mushkil ko mushkil-tar banate jaiye

yaad hai 'mahir' mujhe un ka wo kahna yaad hai
aaj to bas raat bhar ghazlen sunate jaiye