اردو हिंदी
Chehre pe sare shahr ke gard-e-malal hai | Shaahi Shayari
chehre pe sare shahr ke gard-e-malal hai

Ghazal

Chehre pe sare shahr ke gard-e-malal hai

Malikzada Manzoor Ahmad

;

chehre pe sare shahr ke gard-e-malal hai
jo dil ka haal hai wahi dilli ka haal hai

uljhan ghuTan hiras tapish karb intishaar
wo bhiD hai ke sans bhi lena muhaal hai

aawargi ka haq hai hawaon ko shahr mein
ghar se charagh le ke nikalna muhaal hai

be-chehragi ki bhiD mein gum hai har ek wajud
aaina puchhta hai kahan KHadd-o-KHal hai

jin mein ye wasf ho ki chhupa len har ek dagh
un aainon ki aaj baDi dekh-bhaal hai

parchhaiyan qadon se bhi aage nikal gain
suraj ke Dub jaane ka ab ehtimal hai

kashkol-e-chashm le ke phiro tum na dar-ba-dar
'manzur' qaht-e-jins-e-wafa ka ye sal hai