jaan-ba-lab lamha-e-taskin meri qismat hai 'shamim'
be-KHudi phir mujhe diwana banati kyun hai
Sakhawat Shameem
chale to panw ke niche kuchal gai koi shai
nashe ki jhonk mein dekha nahin ki duniya hai
Shahab Jafri
kiya hai jab sin amal be-KHudi ke hakim ne
KHirad-nagar ki raiyat hui hai ru ba-gurez
Siraj Aurangabadi
niyaz-e-be-KHudi behtar namaz-e-KHud-numai sin
na kar hum puKHta-maghzon sin KHayal-e-KHam ai waiz
Siraj Aurangabadi
shah-e-be-KHudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi
na KHirad ki baKHiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
Siraj Aurangabadi
Tags:
| Bekhudi |
| 2 Lines Shayari |