KHwab mein nam tera le ke pukar uThta hun
be-KHudi mein bhi mujhe yaad teri yaad ki hai
Lala Madhav Ram Jauhar
yahan koi na ji saka na ji sakega hosh mein
miTa de nam hosh ka sharab la sharab la
Madan pal
e-KHudi le gai kahan hum ko
der se intizar hai apna
Mir Taqi Mir
yahi to kufr hai yaran-e-be-KHudi ke huzur
jo kufr-o-din ka mere yar imtiyaz raha
Mirza Ali Lutf
aankh paDti hai kahin panw kahin paDta hai
sab ki hai tum ko KHabar apni KHabar kuchh bhi nahin
Mohammad Ali Tishna
allah-re be-KHudi ki chala ja raha hun main
manzil ko dekhta hua kuchh sochta hua
Moin Ahsan Jazbi
gai bahaar magar apni be-KHudi hai wahi
samajh raha hun ki ab tak bahaar baqi hai
Mubarak Azimabadi