e-KHudi mein le liya bosa KHata kije muaf
ye dil-e-betab ki sari KHata thi main na tha
Bahadur Shah Zafar
chhoD kar kucha-e-mai-KHana taraf masjid ke
main to diwana nahin hun jo chalun hosh ki rah
Baqaullah u0027Baqau0027
ai be-KHudi Thahr ki bahut din guzar gae
mujh ko KHayal-e-yar kahin DhunDta na ho
Fani Badayuni
itni pi jae ki miT jae main aur tu ki tamiz
yani ye hosh ki diwar gira di jae
the formality of you and I should in wine be drowned
meaning that these barriers of sobriety be downed
Farhat Shahzad
jis mein ho yaad bhi teri shamil
hae us be-KHudi ko kya kahiye
Firaq Gorakhpuri
ab main hudud-e-hosh-o-KHirad se guzar gaya
Thukrao chahe pyar karo main nashe mein hun
Ganesh Bihari Tarz
umr jo be-KHudi mein guzri hai
bas wahi aagahi mein guzri hai
Gulzar Dehlvi