din raat mai-kade mein guzarti thi zindagi
'aKHtar' wo be-KHudi ke zamane kidhar gae
Akhtar Shirani
achchha KHasa baiThe baiThe gum ho jata hun
ab main aksar main nahin rahta tum ho jata hun
Anwar Shuoor
ai be-KHudi-e-dil mujhe ye bhi KHabar nahin
kis din bahaar aai main diwana kab hua
Arshad Ali Khan Qalaq
mohabbat nek-o-bad ko sochne de ghair-mumkin hai
baDhi jab be-KHudi phir kaun Darta hai gunahon se
Arzoo Lakhnavi
kitna mushkil hai KHud-baKHud rona
be-KHudi se riha kare koi
Asar Akbarabadi
aalam se be-KHabar bhi hun aalam mein bhi hun main
saqi ne is maqam ko aasan bana diya
Asghar Gondvi
e-KHudi kucha-e-jaanan mein liye jati hai
dekhiye kaun mujhe meri KHabar deta hai
Aziz Lakhnavi