اردو हिंदी
KHabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi | Shaahi Shayari
KHabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi

Ghazal

KHabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi

Siraj Aurangabadi

;

KHabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
na to tu raha na to main raha jo rahi so be-KHabari rahi

shah-e-be-KHudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi
na KHirad ki baKHiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi

kabhi samt-e-ghaib sin kya hawa ki chaman zuhur ka jal gaya
magar ek shaKH-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi

nazar-e-taghaful-e-yar ka gila kis zaban sin bayan karun
ki sharab-e-sad-qadah aarzu KHum-e-dil mein thi so bhari rahi

wo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liya dars nusKHa-e-ishq ka
ki kitab aql ki taq par jun dhari thi tyun hi dhari rahi

tere josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar sin yahan hua
ki na aaine mein rahi jila na pari kun jalwagari rahi

kiya KHak aatish-e-ishq ne dil-e-be-nawa-e-'siraj' kun
na KHatar raha na hazar raha magar ek be-KHatari rahi