han kaif-e-be-KHudi ki wo saat bhi yaad hai
mahsus kar raha tha KHuda ho gaya hun main
Hafeez Jalandhari
pa-ba-gil be-KHudi-e-shauq se main rahta tha
kucha-e-yar mein haalat meri diwar ki thi
Haidar Ali Aatish
allah re be-KHudi ki tere ghar ke aas-pas
har dar pe di sada tere dar ke KHayal mein
Jagan Nath Azad
tera wasl hai mujhe be-KHudi tera hijr hai mujhe aagahi
tera wasl mujh ko firaq hai tera hijr mujh ko visal hai
Jalaluddin Akbar
ai be-KHudi salam tujhe tera shukriya
duniya bhi mast mast hai uqba bhi mast mast
Javed Saba
ab in hudud mein laya hai intizar mujhe
wo aa bhi jaen to aae na aitabar mujhe
Khumar Barabankavi
na to hosh se taaruf na junun se aashnai
ye kahan pahunch gae hain teri bazm se nikal ke
what is this place that I have reached, having left your company
Khumar Barabankavi