ye kaisa nashsha hai main kis ajab KHumar mein hun
tu aa ke ja bhi chuka hai main intizar mein hun
Muneer Niyazi
allah re be-KHudi ki tere pas baiTh kar
tera hi intizar kiya hai kabhi kabhi
o lord! There are times when such is my raptured state
even though I am with you, and yet for you I wait
Naresh Kumar Shad
ai zindagi junun na sahi be-KHudi sahi
tu kuchh bhi apni aql se pagal uTha to la
Natiq Gulavthi
ibtida se aaj tak 'natiq' ki ye hai sarguzisht
pahle chup tha phir hua diwana ab behosh hai
Natiq Lakhnavi
hosh walon ko KHabar kya be-KHudi kya chiz hai
ishq kije phir samajhiye zindagi kya chiz hai
Nida Fazli
pas-e-adab-e-wafa tha ki shikasta-pai
be-KHudi mein bhi na hum had se guzarne pae
Raza Hamdani
itni pi hai ki baad-e-tauba bhi
be-piye be-KHudi si rahti hai
Riyaz Khairabadi