main us gulshan ka bulbul hun bahaar aane nahin pati
ki sayyaad aan kar mera gulistan mol lete hain
Haidar Ali Aatish
chaar din ki bahaar hai sari
ye takabbur hai yar-e-jaani hech
Haqeer
afsurdagi bhi husn hai tabindagi bhi husn
hum ko KHizan ne tum ko sanwara bahaar ne
Ijtiba Rizvi
ahaar aate hi Takrane lage kyun saghar o mina
bata ai pir-e-mai-KHana ye mai-KHanon pe kya guzri
Jagan Nath Azad
us ko KHizan ke aane ka kya ranj kya qalaq
rote kaTa ho jis ko zamana bahaar ka
Jagat Mohan Lal Ravan
ajab bahaar dikhai lahu ke chhinTon ne
KHizan ka rang bhi rang-e-bahaar jaisa tha
Junaid Hazin Lari
ahaar aae to mera salam kah dena
mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne
Kaifi Azmi