اردو हिंदी
Suna karo meri jaan in se un se afsane | Shaahi Shayari
suna karo meri jaan in se un se afsane

Ghazal

Suna karo meri jaan in se un se afsane

Kaifi Azmi

;

suna karo meri jaan in se un se afsane
sab ajnabi hain yahan kaun kis ko pahchane

yahan se jald guzar jao qafile walo
hain meri pyas ke phunke hue ye virane

mere junun-e-parastish se tang aa gae log
suna hai band kiye ja rahe hain but-KHane

jahan se pichhle pahar koi tishna-kaam uTha
wahin pe toDe hain yaron ne aaj paimane

bahaar aae to mera salam kah dena
mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne

hua hai hukm ki 'kaifi' ko sangsar karo
masih baiThe hain chhup ke kahan KHuda jaane