اردو हिंदी
Ek aKHgar-e-jamal farozan ba-shakl-e-dil | Shaahi Shayari
ek aKHgar-e-jamal farozan ba-shakl-e-dil

Ghazal

Ek aKHgar-e-jamal farozan ba-shakl-e-dil

Ijtiba Rizvi

;

ek aKHgar-e-jamal farozan ba-shakl-e-dil
phenka idhar bhi husn-e-tajalli-nisar ne

afsurdagi bhi husn hai tabindagi bhi husn
hum ko KHizan ne tum ko sanwara bahaar ne

is dil ko shauq-e-did mein taDpa ke kar diya
kya ustuwar wada-e-na-ustawar ne

jalwe ki bhik de ke wo haTne lage the KHud
daman pakaD liya nigah-e-e'tibar ne

gesu ghubar-e-rah-e-tamanna se aT na jaen
sahra mein aap nikle hain hum ko pukarne