gai bahaar magar apni be-KHudi hai wahi
samajh raha hun ki ab tak bahaar baqi hai
Mubarak Azimabadi
na sair-e-bagh na milna na miThi baaten hain
ye din bahaar ke ai jaan muft jate hain
Naji Shakir
meri aankhon mein hain aansu tere daman mein bahaar
gul bana sakta hai tu shabnam bana sakta hun main
Nushur Wahidi
tere qurban 'qamar' munh sar-e-gulzar na khol
sadqe us chand si surat pe na ho jae bahaa
Qamar Jalalvi
ai dil-e-be-qarar chup ho ja
ja chuki hai bahaar chup ho ja
Saghar Siddiqui
KHushi ke phul khile the tumhaare sath kabhi
phir is ke baad na aaya bahaar ka mausam
Salam Sandelvi
kya isi ko bahaar kahte hain
lala-o-gul se KHun Tapakta hai
Salam Sandelvi