اردو हिंदी
Tifli piri o naujawani hech | Shaahi Shayari
tifli piri o naujawani hech

Ghazal

Tifli piri o naujawani hech

Haqeer

;

tifli piri o naujawani hech
tin din ki hai zindagani hech

umr-e-do-roza par ghamanD itna
munimon ki hai lan-tarani hech

raat thoDi hai aao pyar karen
subh ko hogi ye kahani hech

chaar din ki bahaar hai sari
ye takabbur hai yar-e-jaani hech

dil ke hathon 'haqir' jhagDon mein
meri guzri sada jawani hech