اردو हिंदी
Anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka | Shaahi Shayari
anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka

Ghazal

Anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka

Jagat Mohan Lal Ravan

;

anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka
thamta nahin hai panw hamare ghubar ka

pahle kiya KHayal na gul ka na KHar ka
ab dukh raha hai panw nasim-e-bahaar ka

paiham diye wo ranj ki insan bana diya
minnat-pazir hun sitam-e-rozgar ka

us ko KHizan ke aane ka kya ranj kya qalaq
rote kaTa ho jis ko zamana bahaar ka

maKHfi hai is mein raaz-e-baqa-e-hayat-e-ishq
kya puchhte ho haal dil-e-be-qarar ka

majburiyan sitam hain wagarna KHuda ki shan
main aur yun guzar dun mausam bahaar ka

ghafil nigah-e-hosh se rang-e-chaman ko dekh
parwurda-e-KHizan hai zamana bahaar ka

nikla hai dam 'rawan' ka tamanna ke sath sath
allah-re zor nala-e-be-iKHteyar ka