kahiyo saba salam hamara bahaar se
hum to chaman ko chhoD ke su-e-qafas chale
Sauda Mohammad Rafi
nai bahaar ka muzhda baja sahi lekin
abhi to agli bahaaron ka zaKHm taza hai
Shafqat Kazmi
ai KHizan bhag ja chaman se shitab
warna fauj-e-bahaar aawe hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin
jise tere gham se ho wasta wo KHizan bahaar se kam nahin
Shakeel Badayuni
shaguftagi-e-dil-e-karwan ko kya samjhe
wo ek nigah jo uljhi hui bahaar mein hai
Shakeel Badayuni
aamad aamad hai KHizan ki jaane wali hai bahaar
rote hain gulzar ke dar baghban khole hue
Taashshuq Lakhnavi