lutf-e-bahaar kuchh nahin go hai wahi bahaar
dil hi ujaD gaya ki zamana ujaD gaya
Aziz Lakhnavi
taDap ke rah gai bulbul qafas mein ai sayyaad
ye kya kaha ki abhi tak bahaar baqi hai
Betab Azimabadi
tinkon se khelte hi rahe aashiyan mein hum
aaya bhi aur gaya bhi zamana bahaar ka
Fani Badayuni
shagufta bagh-e-suKHan hai hamin se ai 'sabir'
jahan mein misl-e-nasim-e-bahaar hum bhi hain
Fazal Husain Sabir
apne daman mein ek tar nahin
aur sari bahaar baqi hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
mujh ko ehsas-e-rang-o-bu na hua
yun bhi akasr bahaar aai hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT
KHizan machaegi aate hi is dayar mein luT
Habeeb Musvi