اردو हिंदी
Hairat-e-jalwa muqaddar hai to jalwa kya hai | Shaahi Shayari
hairat-e-jalwa muqaddar hai to jalwa kya hai

Ghazal

Hairat-e-jalwa muqaddar hai to jalwa kya hai

Mahmood Ayaz

;

hairat-e-jalwa muqaddar hai to jalwa kya hai
tujh se wabasta hai dil warna tamasha kya hai

koi din aur gham-e-hijr mein shadan ho len
abhi kuchh din mein samajh jaenge duniya kya hai

dil to ek aur hi aahang pe hai raqs-kunan
dil ka is umr-e-faromaya se rishta kya hai

hum use bhul chuke hain magar ai daur-e-hayat
samne aaankhon ke ye surat-e-zeba kya hai

jine walon se kaho koi tamanna DhunDen
hum to aasuda-e-manzil hain hamara kya hai