KHub itna tha ki diwar pakaD kar nikla
us se milne ke liye surat-e-saya gaya main
Abbas Tabish
kuchh to apni gardanen kaj hain hawa ke zor se
aur kuchh apni tabiat mein asar miTTi ka hai
Abbas Tabish
main apne aap mein gahra utar gaya shayad
mere safar se alag ho gai rawani meri
Abbas Tabish
main hun is shahr mein taKHir se aaya hua shaKHs
mujh ko ek aur zamane mein baDi der lagi
Abbas Tabish
main jis sukun se baiTha hun is kinare par
sukun se lagta hai mera qayam aaKHiri hai
Abbas Tabish
makin jab nind ke sae mein sustane lagen 'tabish'
safar karte hain basti ke makan aahista aahista
Abbas Tabish
masruf hain kuchh itne ki hum kar-e-mohabbat
aaghaz to kar lete hain jari nahin rakhte
Abbas Tabish