wo habs tha ki tarasti thi sans lene ko
so ruh taza hui jism se nikalte hi
Abbas Rizvi
aankhon tak aa saki na kabhi aansuon ki lahr
ye qafila bhi naql-e-makani mein kho gaya
Abbas Tabish
abhi to ghar mein na baiThen kaho buzurgon se
abhi to shahr ke bachche salam karte hain
Abbas Tabish
agar yunhi mujhe rakkha gaya akele mein
baramad aur koi is makan se hoga
Abbas Tabish
aiThe rahne se to lau dete nahin ye jism o jaan
jugnuon ki chaal chaliye raushni ban jaiye
Abbas Tabish
as ek moD meri zindagi mein aaya tha
phir is ke baad ulajhti gai kahani meri
Abbas Tabish
olta hun to mere honT jhulas jate hain
us ko ye baat batane mein baDi der lagi
Abbas Tabish