اردو हिंदी
Ishq ki jot jagane mein baDi der lagi | Shaahi Shayari
ishq ki jot jagane mein baDi der lagi

Ghazal

Ishq ki jot jagane mein baDi der lagi

Abbas Tabish

;

ishq ki jot jagane mein baDi der lagi
sae se dhup banane mein baDi der lagi

main hun is shahr mein taKHir se aaya hua shaKHs
mujh ko ek aur zamane mein baDi der lagi

ye jo mujh par kisi apne ka guman hota hai
mujh ko aisa nazar aane mein baDi der lagi

ek sada aai jharoke se ki tum kaise ho
phir mujhe lauT ke jaane mein baDi der lagi

bolta hun to mere honT jhulas jate hain
us ko ye baat batane mein baDi der lagi

mere arse mein koi sahl na tha kar-e-suKHan
ek do sher kamane mein baDi der lagi

main sar-e-KHak koi peD nahin tha 'tabish'
is liye panw jamane mein baDi der lagi