de ise bhi farogh-e-husn ki bhik 
dil bhi lag kar qatar mein aaya
Abbas Tabish
ek muddat se meri man nahin soi 'tabish' 
main ne ek bar kaha tha mujhe Dar lagta hai
Abbas Tabish
faqat mal-o-zar-e-diwar-o-dar achchha nahin lagta 
jahan bachche nahin hote wo ghar achchha nahin lagta
Abbas Tabish
ghar pahunchta hai koi aur hamare jaisa 
hum tere shahr se jate hue mar jate hain
Abbas Tabish
hum hain sukhe hue talab pe baiThe hue hans 
jo talluq ko nibhate hue mar jate hain
Abbas Tabish
hum juDe rahte the aabaad makanon ki tarah 
ab ye baaten hamein lagti hain fasanon ki tarah
Abbas Tabish
hamare jaise wahan kis shumar mein honge 
ki jis qatar mein majnun ka nam aaKHiri hai
Abbas Tabish

