mausam tumhaare sath ka jaane kidhar gaya 
tum aae aur baur na aaya daraKHt pa
Abbas Tabish
mera ranj-e-mustaqil bhi jaise kam sa ho gaya 
main kisi ko yaad kar ke taza-dam sa ho gaya
Abbas Tabish
mere sine se zara kan laga kar dekho 
sans chalti hai ki zanjir-zani hoti hai
Abbas Tabish
milti nahin hai naw to darwesh ki tarah 
KHud mein utar ke par utar jaana chahiye
Abbas Tabish
mohabbat ek dam dukh ka mudawa kar nahin deti 
ye titli baiThti hai zaKHm par aahista aahista
Abbas Tabish
mujh se to dil bhi mohabbat mein nahin KHarch hua 
tum to kahte the ki is kaam mein ghar lagta hai
Abbas Tabish
na KHwab hi se jagaya na intizar kiya 
hum is dafa bhi chale aae chum kar us ko
Abbas Tabish

