اردو हिंदी
Ajib taur ki hai ab ke sargirani meri | Shaahi Shayari
ajib taur ki hai ab ke sargirani meri

Ghazal

Ajib taur ki hai ab ke sargirani meri

Abbas Tabish

;

ajib taur ki hai ab ke sargirani meri
main tujh ko yaad bhi kar lun to mehrbani meri

main apne aap mein gahra utar gaya shayad
mere safar se alag ho gai rawani meri

bas ek moD meri zindagi mein aaya tha
phir is ke baad ulajhti gai kahani meri

tabah ho ke bhi rahta hai dil ko dhaDka sa
ki raegan na chali jae raegani meri

main apne baad bahut yaad aaya karta hun
tum apne pas na rakhna koi nishani meri