hamein to is liye ja-e-namaz chahiye hai
ki hum wajud se bahar qayam karte hain
Abbas Tabish
hijr ko hausla aur wasl ko fursat darkar
ek mohabbat ke liye ek jawani kam hai
Abbas Tabish
ek mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish'
kuchh baDe faisle ho jate hain nadani mein
Abbas Tabish
iltijaen kar ke mangi thi mohabbat ki kasak
be-dili ne yun gham-e-nayab wapas kar diya
Abbas Tabish
is ka matlab hai yahan ab koi aaega zarur
dam nikalna chahta hai KHair-maqdam ke liye
Abbas Tabish
ishq kar ke bhi khul nahin paya
tera mera muamla kya hai
Abbas Tabish
jhonke ke sath chhat gai dastak ke sath dar gaya
taza hawa ke shauq mein mera to sara ghar gaya
Abbas Tabish