sun raha hun abhi tak main apni hi aawaz ki bazgasht
yani is dasht mein zor se bolna bhi akarat gaya
Abbas Tabish
teri ruh mein sannaTa hai aur meri aawaz mein chup
tu apne andaz mein chup hai main apne andaz mein chup
Abbas Tabish
tilism-e-KHwab se mera badan patthar nahin hota
meri jab aankh khulti hai main bistar par nahin hota
Abbas Tabish
teri mohabbat mein gumrahi ka ajab nasha tha
ki tujh tak aate hue KHuda tak pahunch gae hain
Abbas Tabish
tu bhi ai shaKHs kahan tak mujhe bardasht kare
bar bar ek hi chehra nahin dekha jata
Abbas Tabish
un aankhon mein kudne walo tum ko itna dhyan rahe
wo jhilen payab hain lekin un ki tah pathrili hai
Abbas Tabish
waqt lafzon se banai hui chadar jaisa
oDh leta hun to sab KHwab hunar lagta hai
Abbas Tabish