shukriya ai qabr tak pahunchane walo shukriya
ab akele hi chale jaenge is manzil se hum
Qamar Jalalvi
suna hai ghair ki mahfil mein tum na jaoge
kaho to aaj saja lun gharib-KHane ko
Qamar Jalalvi
surme ka til bana ke ruKH-e-la-jawab mein
nuqta baDha rahe ho KHuda ki kitab mein
Qamar Jalalvi
tere qurban 'qamar' munh sar-e-gulzar na khol
sadqe us chand si surat pe na ho jae bahaa
Qamar Jalalvi
wo chaar chand falak ko laga chala hun 'qamar'
ki mere baad sitare kahenge afsane
Qamar Jalalvi
yahi hai gar KHushi to raat bhar ginte raho tare
'qamar' is chandni mein un ka ab aana to kya hoga
Qamar Jalalvi
zabt karta hun to ghuTta hai qafas mein mera dam
aah karta hun to sayyaad KHafa hota hai
Qamar Jalalvi

