main un sab mein ek imtiyazi nishan hun falak par numayan hain jitne sitare
'qamar' bazm-e-anjum ki mujh ko mayassar sadarat nahin hai to phir aur kya hai
Qamar Jalalvi
muddaten huin ab to jal ke aashiyan apna
aaj tak ye aalam hai raushni se Darta hun
Qamar Jalalvi
mujhe mere miTne ka gham hai to ye hai
tumhein bewafa kah raha hai zamana
Qamar Jalalvi
na ho rihai qafas se agar nahin hoti
nigah-e-shauq to be-baal-o-par nahin hoti
Qamar Jalalvi
nasheman KHak hone se wo sadma dil ko pahuncha hai
ki ab hum se koi bhi raushni dekhi nahin jati
Qamar Jalalvi
naza ki aur bhi taklif baDha di tum ne
kuchh na ban aaya to aawaz suna di tum ne
Qamar Jalalvi
'qamar' afshan chuni hai ruKH pe us ne is saliqe se
sitare aasman se dekhne ko aae jate hain
Qamar Jalalvi

