zara ruTh jaane pe itni KHushamad
'qamar' tum bigaDoge aadat kisi ki
Qamar Jalalvi
Tags:
| 2 Lines Shayari |
apni nakaamiyon pe aaKHir-e-kar
muskurana to iKHtiyar mein hai
Qamar Jameel
Tags:
| 2 Lines Shayari |
ek patthar ki dast-e-yar mein hai
phul banne ke intizar mein hai
Qamar Jameel
Tags:
| 2 Lines Shayari |
hum sitaron ki tarah Dub gae
din qayamat ke intizar mein hai
Qamar Jameel
Tags:
| 2 Lines Shayari |
ya allahabad mein rahiye jahan sangam bhi ho
ya banaras mein jahan har ghaT par sailab hai
Qamar Jameel
Tags:
| Allahabad |
| 2 Lines Shayari |
dair o kaba se jo ho kar guzre
dost ki rahguzar yaad aai
Qamar Moradabadi
Tags:
| 2 Lines Shayari |
harf aane na diya ishq ki KHuddari par
kaam nakaam tamanna se liya hai main ne
Qamar Moradabadi
Tags:
| 2 Lines Shayari |

