ye intizar ki ghaDiyan ye shab ka sannaTa
is ek shab mein bhare hain hazar sal ke din
Qamar Siddiqi
ajab tarah ki hai duniya ba-rang-e-bu-qalamun
ki hai har ek judagana al-aman tanha
Qasim Ali Khan Afridi
as nahin chalta hai warna apne mar jaane ke sath
phenk dete khod kar duniya ki sab buniyaad hum
Qasim Ali Khan Afridi
hai juda sajda ki ja hindu musalman ki magar
fahm walon ke tain dair-o-haram donon ek
Qasim Ali Khan Afridi
ishq hai ai dil kaThin kuchh KHana-e-KHala nahin
rakh dilerana qadam ta tujh ko ho imdad-e-dad
Qasim Ali Khan Afridi
kaam hai matlab se chahe kufr howe ya ki din
ja pahunchna hai kisi surat se apne yar tak
Qasim Ali Khan Afridi
KHuda ko sajda kar ke mubtazil zahid hua ab to
to ja kar mah-jabin ke aastan pe jubba-sai ka
Qasim Ali Khan Afridi

