jis qadar jazb-e-mohabbat ka asar hota gaya
ishq KHud tark o talab se be-KHabar hota gaya
Qamar Moradabadi
kisi ki rah mein kanTe kisi ki rah mein phul
hamari rah mein tufan hai dekhiye kya ho
Qamar Moradabadi
lazzat-e-dard-e-jigar yaad aai
phir teri pahli nazar yaad aai
Qamar Moradabadi
manzilon ke nishan nahin milte
tum agar na-gahan nahin milte
Qamar Moradabadi
muddaton baad jo is rah se guzra hun 'qamar'
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiya hai main ne
Qamar Moradabadi
qadam uThe bhi nahin bazm-e-naz ki jaanib
KHayal abhi se pareshan hai dekhiye kya ho
Qamar Moradabadi
yun na milne ke sau bahane hain
milne wale kahan nahin milte
Qamar Moradabadi

