daba ke qabr mein sab chal diye dua na salam
zara si der mein kya ho gaya zamane ko
Qamar Jalalvi
har waqt mahwiyat hai yahi sochta hun main
kyun barq ne jalaya mera aashiyan na puchh
Qamar Jalalvi
is liye aarzu chhupai hai
munh se nikli hui parai hai
Qamar Jalalvi
jalwa-gar bazm-e-hasinan mein hain wo is shan se
chand jaise ai 'qamar' taron bhari mahfil mein hai
Qamar Jalalvi
jigar ka dagh chhupao 'qamar' KHuda ke liye
sitare TuTte hain un ke dida-e-nam se
Qamar Jalalvi
kabhi kaha na kisi se tere fasane ko
na jaane kaise KHabar ho gai zamane ko
Qamar Jalalvi
KHun hota hai sahar tak mere armanon ka
sham-e-wada jo wo paband-e-hina hota hai
Qamar Jalalvi

