اردو हिंदी
Hukm-e-sayyaad hai ta-KHatm-e-tamasha-e-bahaar | Shaahi Shayari
hukm-e-sayyaad hai ta-KHatm-e-tamasha-e-bahaar

Ghazal

Hukm-e-sayyaad hai ta-KHatm-e-tamasha-e-bahaar

Qamar Jalalvi

;

hukm-e-sayyaad hai ta-KHatm-e-tamasha-e-bahaar
sari duniya kahe bulbul na kahe hae bahaar

subh gul-gasht ko jate ho ki sharmae bahaar
kya ye matlab hai gulistan se nikal jae bahaar

munh se kuchh bhi dam-e-ruKHsat na kaha bulbul ne
sirf sayyaad ne itna to suna hae bahaar

ye bhi kuchh baat hui gul hanse tum ruTh gae
is pe ye zid ki abhi KHak mein mil jae bahaar

tere qurban 'qamar' munh sar-e-gulzar na khol
sadqe us chand si surat pe na ho jae bahaar