'qamar' apne dagh-e-dil ki wo kahani main ne chheDi
ki suna kiye sitare mera raat bhar fasana
Qamar Jalalvi
'qamar' kisi se bhi dil ka ilaj ho na saka
hum apna dagh dikhate rahe zamane ko
Qamar Jalalvi
'qamar' zara bhi nahin tum ko KHauf-e-ruswai
chale ho chandni shab mein unhen bulane ko
Qamar Jalalvi
aushan hai mera nam baDa namwar hun main
shahid hain aasman ke sitare qamar hun main
Qamar Jalalvi
oenge dekh kar sab bistar ki har shikan ko
wo haal likh chala hun karwaT badal badal ka
Qamar Jalalvi
uswa karegi dekh ke duniya mujhe 'qamar'
is chandni mein un ko bulane ko jae kaun
Qamar Jalalvi
shab ko mera janaza jaega yun nikal kar
rah jaenge sahar ko dushman bhi hath mal ka
Qamar Jalalvi

