hoti hai sham aankh se aansu rawan hue
ye waqt qaidiyon ki rihai ka waqt hai
Ahmad Mushtaq
ek raat chandni mere bistar pe aai thi
main ne tarash kar tera chehra bana diya
Ahmad Mushtaq
ek zamana tha ki sab ek jagah rahte the
aur ab koi kahin koi kahin rahta hai
Ahmad Mushtaq
is marke mein ishq bechaara karega kya
KHud husn ko hain jaan ke lale paDe hue
Ahmad Mushtaq
ishq mein kaun bata sakta hai
kis ne kis se sach bola hai
Ahmad Mushtaq
jaane kis dam nikal aae tere ruKHsar ki dhup
muddaton dhyan tere saya-e-dar par rakkha
Ahmad Mushtaq
jab sham utarti hai kya dil pe guzarti hai
sahil ne bahut puchha KHamosh raha pani
Ahmad Mushtaq