chand bhi nikla sitare bhi barabar nikle
mujh se achchhe to shab-e-gham ke muqaddar nikle
Ahmad Mushtaq
chhat se kuchh qahqahe abhi tak
jalon ki tarah laTak rahe hain
Ahmad Mushtaq
chup kahin aur liye phirti thi baaten kahin aur
din kahin aur guzarte the to raaten kahin au
Ahmad Mushtaq
dhuen se aasman ka rang maila hota jata hai
hare jangal badalte ja rahe hain kar-KHanon mein
Ahmad Mushtaq
dil bhar aaya kaghaz-e-KHali ki surat dekh kar
jin ko likhna tha wo sab baaten zabani ho gain
Ahmad Mushtaq
dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin
umr bhar kaun jawan kaun hasin rahta hai
Ahmad Mushtaq
dukh ke safar pe dil ko rawana to kar diya
ab sari umr hath hilate rahenge hum
Ahmad Mushtaq