ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai
wo jis ke nam se hote na the juda mere la
Ahmad Mushtaq
ahl-e-hawas to KHair hawas mein hue zalil
wo bhi hue KHarab, mohabbat jinhon ne ki
Ahmad Mushtaq
are kyun Dar rahe ho jangal se
ye koi aadmi ki basti hai
Ahmad Mushtaq
ahta aansu ek jhalak mein kitne rup dikhaega
aankh se ho kar gal bhigo kar miTTi mein mil jaega
Ahmad Mushtaq
ahut udas ho tum aur main bhi baiTha hun
gae dinon ki kamar se kamar lagae hue
Ahmad Mushtaq
ala ki chamak us ke chehre pe thi
mujhe kya KHabar thi ki mar jaega
Ahmad Mushtaq
hul gai wo shakl bhi aaKHir
kab tak yaad koi rahta hai
Ahmad Mushtaq