jahan Dale the us ne dhup mein kapDe sukhane ko
Tapakti hain abhi tak rassiyan aahista aahista
Ahmad Mushtaq
jahan-e-ishq se hum sarsari nahin guzre
ye wo jahan hai jahan sarsari nahin koi shai
Ahmad Mushtaq
jaise pau phaT rahi ho jangal mein
yun koi muskurae jata hai
Ahmad Mushtaq
jis ki sanson se mahakte the dar-o-baam tere
ai makan bol kahan ab wo makin rahta hai
Ahmad Mushtaq
jo muqaddar tha use to rokna bas mein na tha
un ka kya karte jo baaten na-gahani ho gain
Ahmad Mushtaq
kai chand the sar-e-asman ki chamak chamak ke palaT gae
na lahu mere hi jigar mein tha na tumhaari zulf siyah thi
Ahmad Mushtaq
kaise aa sakti hai aisi dil-nashin duniya ko maut
kaun kahta hai ki ye sab kuchh fana ho jaega
Ahmad Mushtaq