ek lamhe mein bikhar jata hai tana-bana
aur phir umr guzar jati hai yakjai mein
Ahmad Mushtaq
gum raha hun tere KHayalon mein
tujh ko aawaz umr bhar di hai
Ahmad Mushtaq
guzre hazar baadal palkon ke sae sae
utre hazar suraj ek shah-nashin-e-dil pa
Ahmad Mushtaq
hum apni dhup mein baiThe hain 'mushtaq'
hamare sath hai saya hamara
Ahmad Mushtaq
hum un ko soch mein gum dekh kar wapas chale aae
wo apne dhyan mein baiThe hue achchhe lage hum ko
Ahmad Mushtaq
hamara kya hai jo hota hai ji udas bahut
to gul tarashte hain titliyan banate hain
Ahmad Mushtaq
hijr ek waqfa-e-bedar hai do nindon mein
wasl ek KHwab hai jis ki koi tabir nahin
Ahmad Mushtaq