اردو हिंदी
Har lamha zulmaton ki KHudai ka waqt hai | Shaahi Shayari
har lamha zulmaton ki KHudai ka waqt hai

Ghazal

Har lamha zulmaton ki KHudai ka waqt hai

Ahmad Mushtaq

;

har lamha zulmaton ki KHudai ka waqt hai
shayad kisi ki chehra-numai ka waqt hai

kahti hai sahilon se ye jate samay ki dhup
hushyar naddiyon ki chaDhai ka waqt hai

hoti hai sham aankh se aansu rawan hue
ye waqt qaidiyon ki rihai ka waqt hai

koi bhi waqt ho kabhi hota nahin juda
kitna aziz us ki judai ka waqt hai

dil ne kaha ki sham-e-shab-e-wasl se na bhag
ab pak chuki hai fasl kaTai ka waqt hai

main ne kaha ki dekh ye main ye hawa ye raat
us ne kaha ki meri paDhai ka waqt hai