mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai
wo isi shahr ki galiyon mein kahin rahta hai
Ahmad Mushtaq
milne ki ye kaun ghaDi thi
bahar hijr ki raat khaDi thi
Ahmad Mushtaq
mohabbat mar gai 'mushtaq' lekin tum na manoge
main ye afwah bhi tum ko suna kar dekh leta hun
Ahmad Mushtaq
mujhe malum hai ahl-e-wafa par kya guzarti hai
samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar raha hun main
Ahmad Mushtaq
nae diwanon ko dekhen to KHushi hoti hai
hum bhi aise hi the jab aae the virane mein
Ahmad Mushtaq
nindon mein phir raha hun use DhunDhta hua
shamil jo ek KHwab mere rat-jage mein tha
Ahmad Mushtaq
pani mein aks aur kisi aasman ka hai
ye naw kaun si hai ye dariya kahan ka hai
Ahmad Mushtaq