اردو हिंदी
Shabnam ko ret phul ko kanTa bana diya | Shaahi Shayari
shabnam ko ret phul ko kanTa bana diya

Ghazal

Shabnam ko ret phul ko kanTa bana diya

Ahmad Mushtaq

;

shabnam ko ret phul ko kanTa bana diya
hum ne to apne bagh ko sahra bana diya

is unch nich par to Thaharte nahin the panw
kis dast-e-shauq ne ise duniya bana diya

kin muTThiyon ne bij bikhere zamin par
kin barishon ne is ko tamasha bana diya

sairab kar diya teri mauj-e-KHiram ne
rakkha jahan qadam wahan dariya bana diya

ek raat chandni mere bistar pe aai thi
main ne tarash kar tera chehra bana diya

puchhe agar koi to use kya bataon main
dil kya tha, tere gham ne ise kya bana diya