qamat teri dalil qayamat ki ho gai
kaam aaftab-e-hashr ka ruKHsar ne kiya
Haidar Ali Aatish
qaid-e-mazhab ki giraftari se chhuT jata hai
ho na diwana to hai aql se insan KHali
Haidar Ali Aatish
akh ke munh so gae hum aatishin ruKHsaron par
dil ko tha chain to nind aa gai angaron pa
Haidar Ali Aatish
safar hai shart musafir-nawaz bahutere
hazar-ha shajar-e-saya-dar rah mein hai
Haidar Ali Aatish
saKHti-e-rah khinchiye manzil ke shauq mein
aaram ki talash mein iza uThaiye
Haidar Ali Aatish
shab-e-wasl thi chandni ka saman tha
baghal mein sanam tha KHuda mehrban tha
Haidar Ali Aatish
shahr mein qafiya-paimai bahut ki 'atish'
ab irada hai mera baadiya-paimai ka
Haidar Ali Aatish

